rahat ke waste na rifaqat ke waste
ab koi mujh ko chahe to chahat ke waste
ye iKHtilaf-e-fikr bahut kaam aaega
is ko bacha ke rakh kisi saat ke waste
donon ko is jahan mein sach ki talash thi
itna bahut tha hum mein rifaqat ke waste
main KHwahish-e-qayam se aage nikal gaya
ab mujh ko mat pukar iqamat ke waste
manzil meri safar hai mera zad-e-rah bhi
main chal raha hun aaj masafat ke waste
wo sanp tha aur us ko sapere se pyar tha
itna bahut tha us ki halakat ke waste
Ghazal
Rahat ke waste na rifaqat ke waste
Syed Anwar Ahmad