اردو हिंदी
Rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair | Shaahi Shayari
rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair

Ghazal

Rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair

Zia Zameer

;

rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair
zindagi kaise basar hogi mohabbat ke baghair

ab ke ye soch ke bimar paDe hain ki hamein
Thik hona hi nahin teri ayaadat ke baghair

ishq ke maron ko aadab kahan aate hain
tere kuche mein chale aae ijazat ke baghair

hum se puchho to ki hum kaise hain ai ham-watano
apne yaron ke bina apni mohabbat ke baghair

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us ka
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyasat ke baghair

aks kis ka ye utar aaya hai aaine mein
kaun ye dekh raha hai mujhe hairat ke baghair

hasil-e-ishq agar kuchh hai to wahshat hai 'ziya'
aur insan mukammal nahin wahshat ke baghair