rah pur-KHar hai kya hona hai
panw afgar hai kya hona hai
kaam zindan ke kiye aur hamein
shauq-e-gulzar hai kya hona hai
jaan halkan hui jati hai
bar sa bar hai kya hona hai
par jaana hai nahin milti naw
zor par dhaar hai kya hona hai
raushni ki hamein aadat aur ghar
tira-o-tar hai kya hona hai
beach mein aag ka dariya hael
qasd us par hai kya hona hai
sath walon ne yahin chhoD diya
be-kasi yar hai kya hona hai
aaKHiri did hai aao mil len
ranj be-kar hai kya hona hai
dil hamein tum se lagana hi na tha
ab safar bar hai kya hona hai
kyun 'raza' kuDhte ho hanste uTTho
jab wo ghaffar hai kya hona hai
Ghazal
Rah pur-Khaar hai kya hona hai
Akhtar Imam Rizvi