rah-o-rasm-e-ibtidai dekh li
intiha-e-bewafai dekh li
samne tarif ghibat mein gila
aap ke dil ki safai dekh li
ab nahin milna kisi se bhi pasand
sab ki achchhai burai dekh li
nam bhi daman pe surKHi ka nahin
dida o dil ki kamai dekh li
be-KHabar hain wo mere haalat se
nala-e-dil ki rasai dekh li
ishq apna hai faqat itna 'rawan'
achchhi surat aage aai dekh li
Ghazal
Rah-o-rasm-e-ibtidai dekh li
Jagat Mohan Lal Ravan