rah milti hai ghar nahin milta
ghar mile bhi to dar nahin milta
jis ko dekha tha main ne bachpan mein
ab mujhe wo nagar nahin milta
dekhta hun jo KHud ko pani mein
jism milta hai sar nahin milta
mujh ko in zindagi ki rahon mein
koi bhi ham-safar nahin milta
jaane kya ho gaya hai mausam ko
sabz koi shajar nahin milta
tujh ko 'salman' teri mehnat ka
jaane ab kyun samar nahin milta
Ghazal
Rah milti hai ghar nahin milta
Salman Saeed