rah mein meri agar aae to mar jaenge aap
kya mujhe yun hi nazar-andaz kar jaenge aap
ek pal aasudgi ka ek lamha ishq ka
mujh se ham-aghosh hote hi nikhar jaenge aap
sath par mujh ko chhalakne ki na dawat dijiye
ek qatra bhi agar Tapka to bhar jaenge aap
ek ada masumiyat aur ek tohmat masiyat
kab talak bachte rahenge hum kidhar jaenge aap
bad-shuguni ki alamat pesh-KHema maut ka
dekhiye hum jaan de denge agar jaenge aap
qabr jaisi na-pasandida jagah bhi 'irtiza'
dil kabhi hargiz na chahega magar jaenge aap
Ghazal
Rah mein meri agar aae to mar jaenge aap
Irtiza Nishat