rah ki kuchh to rukawaT yar kam kar dijiye
aap apne ghar ki ek diwar kam kar dijiye
aap ka aashiq bahut kamzor dil ka hai huzur
dekhiye ye shiddat-e-inkar kam kar dijiye
main bhi honTon se kahunga kam karen jalne ka shauq
aap agar sargarmi-e-ruKHsar kam kar dijiye
ek to sharm aap ki aur us pe takiya darmiyan
donon diwaron mein ek diwar kam kar dijiye
aap to bas kholiye lab bosa dene ke liye
bosa dene par jo hai takrar kam kar dijiye
raat ke pahlu mein phaila dijiye zulf-e-daraaz
yunhi kuchh tul-e-sab-e-bimar kam kar dijiye
ya idhar kuchh tez kar dije gharon ki raushni
ya udhar kuchh raunaq-e-bazar kam kar dijiye
wo jo pichhe rah gae hain tez-raftari karen
aap aage hain to kuchh raftar kam kar dijiye
hath mein hai aap ke talwar kije qatl-e-am
han magar talwar ki kuchh dhaar kam kar dijiye
bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man
baqi sab jazbaat ka izhaar kam kar dijiye
shairi tanhai ki raunaq hai mahfil ki nahin
'farhat-ehsas' apna ye darbar kam kar dijiye
Ghazal
Rah ki kuchh to rukawaT yar kam kar dijiye
Farhat Ehsas