اردو हिंदी
Rah kar ke us but-e-gumrah ne dhoka diya | Shaahi Shayari
rah kar ke us but-e-gumrah ne dhoka diya

Ghazal

Rah kar ke us but-e-gumrah ne dhoka diya

Muneer Shikohabadi

;

rah kar ke us but-e-gumrah ne dhoka diya
gir paDe andhe kunen mein chah ne dhoka diya

ho gae maghrur mujh ko aashiq apna jaan kar
hae us dil ka bura ho aah ne dhoka diya

jaan kar us but ka ghar kabe ko sajda kar liya
ai barahman mujh ko baitullah ne dhoka diya

main ne jaana baal munh par khol kar aae huzur
chhup kar abr-e-tar mein qurs-e-mah ne dhoka diya

sheKH sahab aap ko but-KHane mein laya 'munir'
pir-o-murshid banda-e-dargah ne dhoka diya