اردو हिंदी
Rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai | Shaahi Shayari
rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai

Ghazal

Rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai

Shayan Quraishi

;

rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai
lekin usi pe jaan se jaane ka Dar bhi hai

waqfa hai zindagi to faqat chand rose ka
phir shahr-e-rang-o-bu ki taraf ek safar bhi hai

raushan rakho charagh lahu se tamam shab
har raat ke nasib mein aaKHir sahar bhi hai

kirdar dekhne ki riwayat nahin rahi
ab aadmi ye dekhta hai mal-o-zar bhi hai

sun to rahe ho baat yun waiz ki ghaur se
lekin yaqin us ki kisi baat par bhi hai

daman-e-gul-ruKHan ki tamanna bhi dosto
kitna hasin KHwab hai tum ko KHabar bhi hai

mera bayan-e-shauq bhala raegan ho kyun
tahrir mein nihan mera KHun-e-jigar bhi hai

yun to koi aziz hain aur dost bhi magar
'shayan' ye batao koi mo'atabar bhi hai