rah-e-wafa mein luTa gaya dil
hai hai mera dil bekas mera dil
roz-e-azal yun paida hua dil
li gham ne karwaT aur ban gaya dil
har dushman-e-jaan ahl-e-wafa hai
ek ba-wafa tum ek ba-wafa dil
dil ji raha hai gham ke sahaare
jab miT gaya gham samjho miTa dil
tum dil mein ho ya taswir-e-hairat
taswir-e-hairat ya hai mera dil
sunsan mahfil viran pahlu
ruKHsat hue tum ruKHsat hua dil
TuTa na aaKHir sadme se 'mani'
shishe se bhi tha nazuk mera dil

Ghazal
Rah-e-wafa mein luTa gaya dil
Mani Jayasi