اردو हिंदी
Rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha | Shaahi Shayari
rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

Ghazal

Rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

Akhtar Shahjahanpuri

;

rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha
jab tak diya hamare lahu ka jala na tha

ye moajiza hamare hi tarz-e-bayan ka tha
us ne wo sun liya tha jo hum ne kaha na tha

jab aashiyane jal gae tab ham-nawa hue
gulshan mein is se pahle koi bolta na tha

tu KHud hi qatra qatra pighalta tha roz-o-shab
shamil tere zawal mein dast-e-dua na tha

shiddat ki dhup mein bhi na pighla mera wajud
mujh par tumhaari zulfon ka jab shamiyana tha

jugnu tha kahkashan tha sitara tha ya guhar
aansu kisi ki aankh se jab tak gira na tha

'aKHtar' gunah karne se phir rokta tha kaun
main kaise man lun ki wahan par KHuda na tha