rah-e-ulfat mein maqamat purane aae
tum na aae to mujhe yaad fasane aae
waqt-e-ruKHsat na diya sath zaban ne lekin
ashk ban kar meri aankhon mein tarane aae
raat ke waqt har ek samt the naqli suraj
sae the asl jo kirdar nibhane aae
waqt aata hi nahin lauT ke ye baat hai jhuT
meri aankhon mein kai guzre zamane aae
zindagi haar gai haar ka matam na kiya
aise lamhat to kitne hi na jaane aae
ghar mera jal gaya lekin ye tasalli hai mujhe
aag jo de ke gae aag bujhane aae
Ghazal
Rah-e-ulfat mein maqamat purane aae
Govind Gulshan