اردو हिंदी
Rah-e-ishq mein itne to bedar the hum | Shaahi Shayari
rah-e-ishq mein itne to bedar the hum

Ghazal

Rah-e-ishq mein itne to bedar the hum

Kuldeep Kumar

;

rah-e-ishq mein itne to bedar the hum
hijr aaega pahle hi tayyar the hum

shahr base the milon tak us ki jaanib
ek musalsal jangal tha jis par the hum

hum pe rang-o-roghan kya taswiren kya
ghar ke pichhle hisse ki diwar the hum

sham se koi bhiD utarti jati thi
ek kamre ke andar bhi bazar the hum

ek kahani KHud hi hum se aa lipTi
kya malum ki kab is ke kirdar the

aaj hamare matam mein ye charcha tha
ek muddat se tanha the bimar the hum

kya ab ishq mein waisi wahshat mumkin hai
jaise pagal ishq mein pahli bar the hum