rah-e-haq mein tujhe hasti ko miTana hoga
dekhna phir teri Thokar mein zamana hoga
rone wale tujhe hanste hue phulon ki tarah
sari duniya ko hunar apna dikhana hoga
be-wafa ho ke bhi tu itni muqaddas kyun hai
zindagi aaj tujhe raaz batana hoga
waqt-e-ruKHsat yahi kahti thin barasti aankhen
pas mere tujhe phir lauT ke aana hoga
ek chingari tassub ki nazar aai hai
dekhna ye hai kahan is ka nishana hoga
apne mazi ke har ek gham ko bhula de warna
choT phir ubhregi phir dard purana hoga
KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
zindagi mein tujhe chalna hai sambhal kar 'sahil'
raste mein tere kam-zarf zamana hoga
Ghazal
Rah-e-haq mein tujhe hasti ko miTana hoga
Mohammad Ali Sahil