rah donon ki wahi hai samna ho jaega
hoga nazron ka tasadum hadisa ho jaega
tum se chhuTa bhi agar to zindagi hai ek safar
sath mere aur koi dusra ho jaega
dil ki uftad-e-tabiat ko bhala rokega kaun
phir kisi gham mein kisi din mubtala ho jaega
qafile walon mein tabligh-e-safar karte raho
kuchh na kuchh to rahbari ka haq ada ho jaega
us se be-maqsad bhi tum yun hi agar milte rahe
wo ghalat-fahmi mein ek din mubtala ho jaega
kya KHabar thi ek sarae ke musafir ki tarah
ham-safar hoga wo mera phir juda ho jaega
azm-e-manzil hai to 'mahir' be-KHatar baDhte chalo
un chaTTanon mein bhi paida rasta ho jaega
Ghazal
Rah donon ki wahi hai samna ho jaega
Iqbal Mahir