rah bhaTka hua insan nazar aata hai
teri aankhon mein to tufan nazar aata hai
pas se dekho to malum paDega tum ko
kaam bas dur se aasan nazar aata hai
is ko malum nahin apne watan ki sarhad
ye parinda abhi nadan nazar aata hai
bas wahi bhumi pe insan hai kahne laeq
jis ko har shaKHs mein bhagwan nazar aata hai
aai jis rose se beTi pe jawani us ki
bap har waqt pareshan nazar aata hai
jab se tum chhoD gae mujh ko akela 'amabar'
shahr sara mujhe viran nazar aata hai
Ghazal
Rah bhaTka hua insan nazar aata hai
Abhishek Kumar Amber