اردو हिंदी
Raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar | Shaahi Shayari
raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

Ghazal

Raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

Faza Ibn e Faizi

;

raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar
gard gard apni basirat KHak KHak apna hunar

jis taraf dekho hujum-e-chehra-e-be-chehragan
kis ghane jangal mein yaro gum hua sab ka hunar

ab hamari muTThiyon mein ek jugnu bhi nahin
chhin kar be-rahm mausam le gaya sara hunar

toD kar is ko bhi ab koi hawa le jaegi
ye jo barg-e-sabz ke manind hai mera hunar

ab kahan dil ke lahu mein bhigi bhigi aagahi
jeb mein hum bhi liye phirte hain mange ka hunar

dekhna hain khelne walon ki chabuk-dastiyan
tash ka patta sahi mera hunar tera hunar

garmi-e-pahlu yahi tashkik o la-ilmi ki aanch
zauq-e-gumshudgi se hum hain ba-KHabar ya ba-hunar

bas yahi KHakistar-e-jaan hai yahan apni shanaKHt
ho gaya sara badan jab rakh to chamka hunar

shaKHsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza'
jitni sada hai tabiat utna hi tikha hunar