raegan auqat kho kar haif khana hai abas
KHub-ruyon se jahan ke dil lagana hai abas
kargar hoga tera afsun ye bawar hai tujhe
us pari par ai dil-e-wahshi diwana hai abas
jite phir aane ki pahle rakh tawaqqo dil se dur
warna kuche mein sitam-garon ke jaana hai abas
KHak ho kar ek surat hai gada-o-shah ki
gar muafiq tujh se ai munim zamana hai abas
yaad kis ko rahm ji mein kab dimagh-o-dil kahan
yan na aane ka mere sahab bahana hai abas
dil-shikan hai subh-dam tera hi gulchin bagh mein
aashiyan ai andalib us ja banana hai abas
ai gul-e-KHandan sabaat-e-umr hai shabnam se kam
yan bahaar-e-rang par hansna hansana hai abas
wan phire hain tarkash-e-mizhgan talash-e-said par
yan tera dil tir-e-hasrat ka nishana hai abas
aabru kahte hain jis ko hai 'muhib' ek qatra aab
jab Dhalak jawe to phir us ka uThana hai abas

Ghazal
Raegan auqat kho kar haif khana hai abas
Waliullah Muhib