اردو हिंदी
Rabta mujhse mera joD diya karta tha | Shaahi Shayari
rabta mujhse mera joD diya karta tha

Ghazal

Rabta mujhse mera joD diya karta tha

Nadeem Bhabha

;

rabta mujh se mera joD diya karta tha
wo jo ek shaKHs mujhe chhoD diya karta tha

mujhe dariya, kabhi sahra ke hawale kar ke
wo kahani ko naya moD diya karta tha

is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko
tu to bas hat mera chhoD diya karta tha

baat peDon ki nahin, gham hai parindon ka 'nadim'
ghonsle jin ke koi toD diya karta tha