rabta lakh sahi qafila-salar ke sath
hum ko chalna hai magar waqt ki raftar ke sath
gham lage rahte hain har aan KHushi ke pichhe
dushmani dhup ki hai saya-e-diwar ke sath
kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun
gham-e-hasti bhi to shamil hai gham-e-yar ke sath
lafz chunta hun to mafhum badal jata hai
ek na ek KHauf bhi hai jurat-e-izhaar ke sath
dushmani mujh se kiye ja magar apna ban kar
jaan le le meri sayyaad magar pyar ke sath
do ghaDi aao mil aaen kisi 'ghaalib' se 'qatil'
hazrat 'zauq' to wabasta hain darbar ke sath
Ghazal
Rabta lakh sahi qafila-salar ke sath
Qateel Shifai