rabta hai mujhe shishe se na paimane se
phir wo kya baat hai mansub hun mai-KHane se
ahl-e-mai-KHana saliqe se piyen aab-e-hayat
warna phir maut hai chhalkegi jo paimane se
ek aalam se juda maslihaten hain is ki
kaun har baat pe uljhe tere diwane se
KHirad aashob hai har nukta-e-irfan-e-hayat
aur baDhta hai junun aql ke baDh jaane se
Ghazal
Rabta hai mujhe shishe se na paimane se
Nihal Sevharvi