qusur-war jo tum ho KHata hamari bhi hai
diye bujhane mein shamil hawa hamari bhi hai
bahut aziz hamein teri dosti hai magar
agar ghurur hai tujh mein ana hamari bhi hai
hamein bhi zeb-e-samaat kabhi banaya jae
dabi dabi hi sahi ek sada hamari bhi hai
kisi ne dil pe mere hath rakh ke puchha tha
teri bahisht mein kya koi ja hamari bhi hai
hum is zamin se kis tarah dast-kash ho jaen
isi zamin ke andar ghiza hamari bhi hai
har ek aankh mein KHud ko talash karte hain
abhi shanaKHt 'talab' gum-shuda hamari bhi hai
Ghazal
Qusur-war jo tum ho KHata hamari bhi hai
Khurshid Talab