qusur sab hai ye na-mo'tabar alamat ka
ulajh ke rah gaya mafhum hi ibarat ka
tumhaare samne manzar kahan qayamat ka
azab sahte kabhi kash tum bhi hijrat ka
qalam ke sath zaban bhi tarash lo meri
ye imtihan bhi le lo meri sadaqat ka
koi sunae to aa kar hadis-e-shab-zadagan
abhi bujha nahin shoala meri samaat ka
meri hayat ki wusat pe ho gaya hai muhit
wo ek pal jo amin hai teri rifaqat ka
hai ek dana-e-gandum ki fitna-samani
yahi hai nukta-e-aghaz apni hijrat ka
tabahiyon pe 'qamar' chup hain log basti ke
hai intizar abhi shayad kisi karamat ka
Ghazal
Qusur sab hai ye na-motabar alamat ka
Qamar Sanbhali