qusur ishq mein zahir hai sab hamara tha
teri nigah ne dil ko magar pukara tha
wo din bhi kya the ki har baat mein ishaara tha
dilon ka raaz nigahon se aashkara tha
hawa-e-shauq ne rang-e-haya nikhaara tha
chaman chaman lab-o-ruKHsar ka nazara tha
fareb kha ke teri shoKHiyon se kya puchhen
hayat o marg mein kis ki taraf ishaara tha
sujud-e-husn ki tamkin pe bar tha warna
jabin-e-shauq ko ye nang bhi gawara tha
chaman mein aag na lagti to aur kya hota
ki phul phul ke daman mein ek sharara tha
tabahiyon ka to dil ki gila nahin lekin
kisi gharib ka ye aaKHiri sahaara tha
bahut latif the nazzare husn-e-barham ke
magar nigah uThane ka kis ko yara tha
ye kahiye zauq-e-junun kaam aa gaya 'taban'
nahin to rasm-o-rah-e-agahi ne mara tha
Ghazal
Qusur ishq mein zahir hai sab hamara tha
Taban Ghulam Rabbani