اردو हिंदी
Qurbaten na ban pae fasle simaT kar bhi | Shaahi Shayari
qurbaten na ban pae fasle simaT kar bhi

Ghazal

Qurbaten na ban pae fasle simaT kar bhi

Sarwar Arman

;

qurbaten na ban pae fasle simaT kar bhi
hum ki ajnabi Thahre aap se lipaT kar bhi

hadson ne har surat apni zad mein rakhna tha
hum ne chal ke dekha hai raste se haT kar bhi

aagahi ki manzil se lauT jaen hum kaise
us jagah nahin jaez dekhna palaT kar bhi

hum ne lakh samjhaya dil magar nahin mana
mutmain sa lagta hai kirchiyon mein baT kar bhi

dasht-e-dil se jo uTTha ho ke surat-e-shabnam
rah gaya hai palkon par wo ghubar chhaT kar bhi

pattharon ke tufan mein dil-numa gharondon ne
aazma liya aaKHir KHud ko aaj DaT kar bhi

daeron ke rahi the manzilen kahan miltin
be-murad hain panw gard-e-rah se aT kar bhi