qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain
kitni aazadi se hum apni hadon mein qaid hain
kaun si aankhon mein mere KHwab raushan hain abhi
kis ki ninden hain jo mere ratjagon mein qaid hain
shahr aabaadi se KHali ho gae KHushbu se phul
aur kitni KHwahishen hain jo dilon mein qaid hain
panw mein rishton ki zanjiren hain dil mein KHauf ki
aisa lagta hai ki hum apne gharon mein qaid hain
ye zamin yunhi sikuDti jaegi aur ek din
phail jaenge jo tufan sahilon mein qaid hain
is jazire par azal se KHak uDti hai hawa
manzilon ke bhed phir bhi raston mein qaid hain
kaun ye patal se ubhra kinare par 'salim'
sar-phiri maujen abhi tak daeron mein qaid hain
Ghazal
Qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain
Saleem Kausar