qurbaten baDh gai nigahon ki 
ab haden KHatm hain libason ki 
dhup roke khaDi hai kis ke liye 
ye sar-e-rah qatar peDon ki 
aur phailega aag ka dariya 
aur jhulsegi khaal chehron ki 
KHud-kushi ka safar bhi sahl nahin 
bhiD si hai lagi sawalon ki 
kaun KHud mein samo saka hai kabhi 
wusaten la-zawal lamhon ki 
kab se dohra raha hun main 'muztar' 
ek fahrist chand namon ki
        Ghazal
Qurbaten baDh gai nigahon ki
Farooq muztar

