qurb-e-manzil TuT jae hausla achchha nahin
fasl ko pakne se pahle kaTna achchha nahin
Dubne wale bhi us kashti ke kam shatir na the
aadatan kahte rahe the na-KHuda achchha nahin
ghair ko pahle parakhte mujh se phir munh moDte
jald-bazi mein tumhaara faisla achchha nahin
main to bazi haar kar be-fikr ho kar chal diya
jitne walon ko chaska lag gaya achchha nahin
KHizr ki miras ka wo aaj dawedar hai
be-chale kahta hai jo ki rasta achchha nahin
rasta chalte raho warna 'wafa' kho jaoge
achchhe-KHase silsile ko toDna achchha nahin
Ghazal
Qurb-e-manzil TuT jae hausla achchha nahin
Wafa Siddiqui