اردو हिंदी
Qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua | Shaahi Shayari
qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua

Ghazal

Qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua
jo safina dil ka tha darham hua barham hua

thamna mushkil dil-e-muztar ko sham-e-gham hua
yaad aate hi kisi ki hashr ka aalam hua

kya bataen kis tarah guzri shab-e-wada meri
muntazir aankhen rahin dil ka ajab aalam hua

dekhte rahte hain is mein sare aalam ka zuhur
aaina dil ka hamare rashk-e-jam-e-jam hua

wo adu ko sath lae hain mere ghar dekhiye
sharbat-e-didar ke nusKHe mein daKHil sam hua

aap ke tir-e-nazar se dil ka bachna hai muhaal
jis ko dekha aankh bhar kar bas wahi hamdam hua

kis qadar taskin ranjur-e-mohabbat ko hui
pyar se dekha jo us ne zaKHm ko marham hua

jab uThaya yar ne ru-e-munawwar se naqab
gir paDa ghash kha ke koi aur koi be-dam hua

gulshan-e-hasti mein insan ki nahin kuchh zindagi
jo hua paida misal-e-qatra-e-shabnam hua

gesu-e-pur-KHam hue un ke pareshan sog mein
mere marne se dayar-e-husn mein matam hua

baad marne ke hua duniya mein yun mashhur 'naz'
shan se tabut uTTha dhum ka matam hua