اردو हिंदी
Qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta | Shaahi Shayari
qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta

Ghazal

Qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta

Meer Mohammadi Bedar

;

qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta
par ek ye ki na tujh se mujhe juda karta

karun hun shad dil apna tere tasawwur se
agar ye shaghl na hota to kya kiya karta

safed safha-e-kaghaz kahin na phir rahta
agar main jaur-o-jafa ko teri likha karta

hina ki tarah agar dastaras mujhe hoti
to kis KHushi se tere panw mein laga karta

gham-e-firaq gar aisa main jaanta 'bedar'
to apne dil ko kisi se na aashna karta