qubul kar ke tera gham KHushi KHushi main ne
tere jamal ko baKHshi hai zindagi main ne
bas ek nigah-e-tawajjoh pe is tarah KHush hun
ki jaise daulat-e-kaunain luT li main ne
dhaDak raha tha mere har-nafas mein dil un ka
suni qarib se aawaz dur ki main ne
zamana ta-ba-abad un ko bhar nahin sakta
jigar pe khae hain wo zaKHm-e-dosti main ne
tere jamal ki sar-mastiyon mein gum ho kar
har ek saat-e-hasti guzar di main ne
KHuda-e-do-jahan is jurm ko muaf kare
uDai hai lab-e-gul-rang ki hansi main ne
'hamid' mujh ko zamana bhula nahin sakta
bana liya hai mohabbat ko zindagi main ne

Ghazal
Qubul kar ke tera gham KHushi KHushi maine
Hameed Nag Puri