اردو हिंदी
Qubul hoti hui bad-dua se Darte hain | Shaahi Shayari
qubul hoti hui bad-dua se Darte hain

Ghazal

Qubul hoti hui bad-dua se Darte hain

Azlan shah

;

qubul hoti hui bad-dua se Darte hain
wagarna log kahan ye KHuda se Darte hain

chalo ki faisla aaKHir yahan tamam hua
ye kam-nasib teri KHak-e-pa se Darte hain

sabhi se kahte hain bas KHair ki dua mango
kabhi kabhi to hum itna KHuda se Darte hain

yahi burai hai bujhte hue charaghon mein
ye KHushk patton ki surat hawa se Darte hain

jo dekhte hain use kuchh nahin samajhte magar
jo dekhna hai usi ki saza se Darte hain