qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai
kyunkar ada ho umr ka rishta qalil hai
gunjaish-e-do-shah nahin ek mulk mein
wahdaniyat ke haq ki yahi bas dalil hai
mashhad pe dil ke dida-e-giryan pukar de
pyasa na ja ba-nam-e-shahidan sabil hai
nazren laDane mein wo taghaful hai KHush-numa
jis tarah se patangon ke panjon mein Dhil hai
'iman' kya bayan karun us shahsawar ka
hazir jilau ke bich jahan jibrail hai
Ghazal
Qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai
Sher Mohammad Khan Iman