qissa-e-zist muKHtasar karte
kuchh to apni si chaaragar karte
maut ki nind so gae bimar
roz kis sham ko sahar karte
sach hai har nala kyun rasa hota
mere nale the kyun asar karte
KHud wafa kya wafa ka badla kya
lutf ehsan tha agar karte
kar liya tere nam par sajda
ab kahan qasd-e-sang-e-dar karte
aas hoti to is sahaare par
sabr mumkin na tha magar karte
kash aaina hath se rakh kar
tum mere haal par nazar karte
tul-e-rudad-e-gham maaz-allah
umr guzri hai muKHtasar karte
gham ne mohlat na di ki hum 'fani'
aur kuchh din abhi basar karte
Ghazal
Qissa-e-zist muKHtasar karte
Fani Badayuni