qissa-e-silsila-e-zulf na kahna behtar
pech-dar-pech hai KHamosh hi rahna behtar
zabt-e-girya se jala karti hain aankhen sach hai
band hone se hai nasur ka bahna behtar
donon hathon ki tere yar karun kya tarif
bayan dahne se to phir baen se dahna behtar
yar ko dekhenge pahna ke shab-e-mah mein use
mil gaya koi agar phulon ka gahna behtar
nafs-e-ammara sa rakhta hai ye sarkash dushman
aadmi ke liye ghafil nahin rahna behtar
TeDhe sidhe se gharaz rakhte nahin ai 'atish'
jo kahe yar hamein sun ke ye kahna behtar
Ghazal
Qissa-e-silsila-e-zulf na kahna behtar
Haidar Ali Aatish