اردو हिंदी
Qissa-e-shauq ke unwan dil-aram kai | Shaahi Shayari
qissa-e-shauq ke unwan dil-aram kai

Ghazal

Qissa-e-shauq ke unwan dil-aram kai

Shaz Tamkanat

;

qissa-e-shauq ke unwan dil-aram kai
main ne kis pyar se rakkhe hain tere nam kai

TukTuki bandh ke bas dur se takte rahna
wasl mein milte hain ab hijr ke aalam kai

uqda-e-jaan ko hai ab tak tere naKHun se umid
kis ko malum adhure hain mere kaam kai

dil-e-zinda se hai ye garmi-e-bazar-e-hayat
sar-e-sauda-zada qaem hai to ilzam kai

wadi-e-sang se anjaan guzarne wale
na-tarashida rahe jate hain asnam kai

kuchh na kuchh kahti thi wo aankh dam-e-ruKHsat-e-shauq
le ke uTTha hun kisi bazm se auham kai

jaise har ek dariche mein tera chehra ho
yun mere haal pe hanste hain dar-o-baam kai

'shaz' ab us ki KHamoshi ko dua dena hai
jis ne bheje the mujhe nama-o-paigham kai