اردو हिंदी
Qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera | Shaahi Shayari
qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera

Ghazal

Qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera

Ain Tabish

;

qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera
aisa maqtul ki qatil nahin koi mera

hai bapa mujh mein ajab marka-e-sud-o-ziyan
is laDai mein muqabil nahin koi mera

bahta jata hun main gumnam jaziron ki taraf
wo samundar hun ki sahil nahin koi mera

hai ajab baat ki dushman ka taraf-dar bhi hai
aisa lagta hai ki ye dil nahin koi mera

rose deta hai mere samne auron ki misal
aur kahta hai mumasil nahin koi mera