qissa-e-KHak to kuchh KHak se aage tak tha
gili miTTi ka safar chaak se aage tak tha
main bashar tha so mere panw se lipTi thi zamin
aur charcha mera aflak se aage tak tha
shoala-e-ishq gham-e-hijr sar-e-shahr-e-hujum
ek gareban tha sad-chaak se aage tak tha
KHamushi karb lahu rang mein Dube hue phul
marhala dida-e-namnak se aage tak tha
lauT aaya hun yahi dekh ke ek dasht se mein
ek jubba meri poshak se aage tak tha
rah gain shahr-e-KHirad mein hi ulajh kar sochen
ek jahan aur bhi idrak se aage tak tha
dast-e-suqraat pe rakkhe hue pyale ka amin
zahr-e-qatil kisi tiryak se aage tak tha
Ghazal
Qissa-e-KHak to kuchh KHak se aage tak tha
Ameen Adirai