اردو हिंदी
Qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake | Shaahi Shayari
qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake

Ghazal

Qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake

Meerza Jawan Bakht Jahandar

;

qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake
sab ho sake wa-lek ye itna na ho sake

phulon ki sej us ke liye farsh-e-KHar hai
tujh bin kisi tarah tera aashiq na ho sake

tujh bin na kar sake mai-e-ishrat se halq tar
KHun-nab-e-gham se lab tera aashiq na ho sake

gar chahe gulshan-e-dil-e-pur-dagh ki bahaar
tu tuKHm-e-ashk jitne ki ai dida bo sake

dekha asar tumhaara bhi ai chashm-e-ashk-bar
kuchh kar sake na us ka ghar apna Dubo sake

dil ki hawas nikal len aah-o-fughan bhi aap
ye bhi na darguzar karen jo un se ho sake

nain jaan-o-dil ke khone 'jahandar' ko daregh
yaad us ki par na jaan-o-dil apne se kho sake