qirtas pe naqshe hamein kya kya nazar aae
sab KHushk nazar aae jo dariya nazar aae
kis ko shab-e-hijran ki girani ka ho ehsas
jab din chaDhe bazar mein tara nazar aae
patthar sa wo lagta hai TaTolo na jo dil ko
aur hath mein le lo to sarapa nazar aae
sahra ki sada jis ko samajhte rahe kal tak
wo harf-e-junun ab chaman-ara nazar aae
manzil ka tayyun hi KHala mein nahin mumkin
hum ko to koi dasht na dariya nazar aae
ai kash mere gosh o nazar bhi rahen sabit
jab husn suna jae ya naghma nazar aae
ek halqa-e-ahbab hai tanhai bhi us ki
ek hum hain ki har bazm mein tanha nazar aae
hum ne jo tarashe the sanam ahd-e-junun mein
un mein se har ek aaj shiwala nazar aae
is daur ki taKHliq bhi kya shishagari hai
har aaine mein aadmi ulTa nazar aae

Ghazal
Qirtas pe naqshe hamein kya kya nazar aae
Wamiq Jaunpuri