اردو हिंदी
Qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona | Shaahi Shayari
qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona

Ghazal

Qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona

Sarvat Husain

;

qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona
kuchh is se ziyaada hai mera KHak pe hona

har subh nikalna kisi diwar-e-tarab se
har sham kisi manzil-e-ghamnak pe hona

ya ek sitare ka guzarna kisi dar se
ya ek piyale ka kisi chaak pe hona

lau deti hai taswir nihan-KHana-e-dil mein
lazim nahin is phul ka poshak pe hona

le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat'
baran ka musalsal KHas-o-KHashak pe hona