qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa hum ne
mata-e-zindagi de kar kiya ye qarz ada hum ne
hamein kis KHwab se lalchaegi ye pur-fusun duniya
khurach Dala hai lauh-e-dil se harf-e-muddaa hum ne
karen lab ko na aaluda kabhi harf-e-shikayat se
shiar apna banaya shewa-e-sabr-o-raza hum ne
hum us ke hain sarapa adbada kar us se kya mangen
uThaya hai kabhi ai muddai dast-e-dua hum ne
shahidan-e-wafa ki manqabat likhte rahe lekin
na ki arzi KHudaon ki kabhi hamd-o-sana hum ne
parakhne wale parkhenge isi mear par hum ko
jahan se kya liya hum ne jahan ko kya diya hum ne
wahi insan jahan jao wahi hirman jidhar dekho
bapa-e-KHufta ki sayyahi-e-mulk-e-KHuda hum ne
luTa zauq-e-safar bhi karwan ka aise lagta hai
suna har taza pesh-ahang ka shor-e-dara hum ne
sitam-arao sun lo aaKHiri bardasht ki had tak
saha har na-rawa hum ne suna har na-saza hum ne
ye duzdida nigahen hain ki dil lene ki rahen hain
hamesha dida-o-danista khai hai KHata hum ne
kashakash hum se puchhe koi na-asuda KHwahish ki
hasinon se bahut bandhe hain paiman-e-wafa hum ne
kiya takmil-e-naqsh-e-na-tamam-e-shauq ki KHatir
jau tum se ho saka tum ne jau hum se ho saka hum ne
'iraqi' ki tarah 'KHalid' ko kyun badnam karte hain
na dekha koi aisa KHush-nawاa-e-benawa hum ne
Ghazal
Qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa humne
Abdul Aziz Khalid