اردو हिंदी
Qaza ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkha | Shaahi Shayari
qaza ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkha

Ghazal

Qaza ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkha

Baqaullah u0027Baqau0027

;

qaza ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkha
meri diwangi ka majra zanjir par likkha

zaifi se nahin pairon ke chin peshani-o-ru par
ye KHatt-e-na-umidi hai ki ru-e-pir par likkha

nahin tujh se hamein dawa-e-KHun gar shama ne qatil
ab apne KHun ka mahzar gardan-e-gul-gir par likkha

ye sab mazmun hai shirin kohkan ki ru-sapedi ka
jahan tak mauj ne satron ko ju-e-shir par likkha

'baqa' ke dil mein aa aaina teri qadr kya jaane
abas hai naqsh-e-gul gar bulbul-e-taswir par likkha