qaza ka tir tha koi kaman se nikal gaya
wo ek harf jo meri zaban se nikal gaya
bahut ziyaada jhukna paD raha tha us ke sae mein
so ek din main us ke saeban se nikal gaya
abhi to tere aur tere adu ke darmiyan hun
agar kabhi main thak ke darmiyan se nikal gaya
mere adu ke KHwab chakna-chur ho ke rah gae
main jast bhar ke dasht-e-imtihan se nikal gaya
tere kalam-e-fan ka sirf main hi qadr-dan hun
agar main teri is bhari dukan se nikal gaya
Ghazal
Qaza ka tir tha koi kaman se nikal gaya
Azhar Adeeb