qaza jo de to ilahi zara badal ke mujhe
mile ye jam inhi ankhDiyon mein Dhal ke mujhe
main apne dil ke samundar se tishna-kaam aaya
pukarti rahin maujen uchhal uchhal ke mujhe
nigah jis ke liye be-qarar rahti thi
saza mili hai usi raushni se jal ke mujhe
main rahzanon ko kahin aur dekhta hi raha
kisi ne luT liya pas se nikal ke mujhe
kahan nujum kahan raste ki gard-e-haqir
ajib wahm hua tere sath chal ke mujhe
ab ek saya-e-be-KHanuman bhi sath mein hai
ye kya mila hai tere shahr se nikal ke mujhe
wahi haqiqat-e-umr-e-daraaz ban ke rahe
kisi ne KHwab diye the jo chand pal ke mujhe
koi bhi jab hadaf-e-KHanjar-e-ada na mila
wo dasht-e-gham se uTha le gae machal ke mujhe
Ghazal
Qaza jo de to ilahi zara badal ke mujhe
Varis Kirmani