qayas ban-bas ko muani de
de mujhe phir koi kahani de
baKHsh jazbon ko daimi shobha
sher ko umr-e-jawedani de
karbala! meri jadd pe guzri kiya
haal-ahwal kuchh zabani de
KHatam-e-zar ki aansuon ke guhar
jo bhi deta hai tu nishani de
Dal gandum pe kesari chundri
dhan ke sar pe shaal dhani de
koi ejaz-e-mahramana phir
koi aawaz to purani de
mantaqe sab zamin ke kar zarKHez
rang dharti ko aasmani de
kaun paida ho ya-ali tujh sa
apne qatil ko kaun pani de
ek na ek din to priytma se mila
ek na ek raat to suhani de
hath ko hirs ki hawa se bacha
aankh ko dil ki tarjumani de
raja chaupaT andher-nagri ka
is kahani ko mat rawani de
Ghazal
Qayas ban-bas ko muani de
Nasir Shahzad