qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein
KHalish jo thi wahi rahi mohabbaton ki soch mein
ye ab khula ki us ki shaeri mein meri baat ka
jo rang KHas tha miTa izafaton ki soch mein
main apne chehra-e-junun ko aaine mein dekh lun
to aks bujh na jaega haqiqaton ki soch mein
main apni dhup chhanw ki zamanaten na de sakun
to aap kyun jalen-bujhen tamazaton ki soch mein
ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe
wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein
gai ruton ne hans ke raston ke zaKHm bhar diye
'humaira' aaj kaun tha masafaton ki soch mein
Ghazal
Qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein
Humaira Rahman