اردو हिंदी
Qayam umr-e-rawan ka musafirana hai | Shaahi Shayari
qayam umr-e-rawan ka musafirana hai

Ghazal

Qayam umr-e-rawan ka musafirana hai

Mahaveer Parshad Anjum

;

qayam umr-e-rawan ka musafirana hai
jahan mein rahte hain jab tak ki aab-o-dana hai

abas ghurur hai taufiq-e-KHair par zahid
ye us ki rahmat-o-baKHshish ka ek bahana hai

mujhe riyazat-o-taat par e'timad nahin
sar-e-niyaz mera tera aastana hai

fana hi ka hai baqa nam dusra 'anjum'
nafas ki aamad-o-shud maut ka tarana hai