qayam mein bhi kisi rah par rawana tha
mera mizaj azal se musafirana tha
paDa tha us ke bhi ruKH par naqab-e-na-maujud
meri bhi aankh pe ek dast-e-ghaebana tha
hum apni ruh tere jism hi mein chhoD aae
tujhe gale se lagana to ek bahana tha
tere husul ki bazi bhi kitni mushkil thi
idhar main yakka-o-tanha udhar zamana tha
main us ko dekhta rahta tha us ki aankhon se
KHayal-o-KHwab ka mausam baDa suhana tha

Ghazal
Qayam mein bhi kisi rah par rawana tha
Mohsin Changezi