qatre mein bhi chhupe hain bhanwar raqs kijiye
qaid-e-sadaf mein misl-e-guhar raqs kijiye
kije fasurdagi-e-tabiat ka kuchh ilaj
is KHak-dan mein misl-e-sharar raqs kijiye
ek naujawan ne aaj buzurgon se kah diya
hoti nahin jo umr basar raqs kijiye
suje hain panw aankh se hi tal dijiye
uljha hua hai tar-e-nazar raqs kijiye
gardish mein ek sitara-e-be-chaara hi nahin
hai aasman bhi zer-o-zabar raqs kijiye
guzre jo mah-o-sal to lai bhi badal gai
ab ke baras ba-rang-e-digar raqs kijiye
fariyaad kijiye na koi zulm Dhaiye
ek wahm hai shikast-o-zafar raqs kijiye
is taife mein ek kami hai to aap ki
ai dushmanan-e-ilm-o-hunar raqs kijiye
fashion hai aaj-kal ka madari ki DugDugi
dil chahe ya na chahe magar raqs kijiye
apni to jhonpaDi mein thirakta nahin charagh
ja kar kisi raqib ke ghar raqs kijiye
'sayyad' na radio na cinema hai aap ka
apne hi git gaiye aur raqs kijiye
Ghazal
Qatre mein bhi chhupe hain bhanwar raqs kijiye
Muzaffar Ali Syed